Login Register

Yeh Raaten Yeh Mausam Nadi Ka Kinara

49 views • 14 Dec 2021

Bollywood
7 followers

Yeh Raaten Yeh Mausam Nadi Ka Kinara song from Bollywood movie Dilli Ka Thug

Singers: Kishore Kumar, Asha Bhosle
Music Director: Ravi
Release: 1958

Yeh Raaten Yeh Mausam Nadi Ka Kinara Lyrics

Ye raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa
Aaaa…. Humm…
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne, ki milkar kabhi hum, na honge juda
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Ye kya baat hai aaj ki chandni mein
Ye kya baat hai aaj ki chandni mein
Ke hum kho gaye pyar ki ragini mein
Ye baahon mein baahein, ye behki nigahein
Lo aane laga zindagi ka maza
Ye raatein, ye mausam, nadi ka kinara, ye chanchal hawa

Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Kaha ab to sara jahaan hai tumhara
Mohabbat jawaan ho, khula aasmaan ho
Kare koi dil aarzu aur kya
Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe
Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe
Rahe saans jab tak yeh bandhan na toote
Tumhe dil diya hai, yeh vaada kiya hai
Sanam main tumhari rahungi sada
Ye raatein, ye mausam, nadi ka kinara, ye chanchal hawa
Kaha do dilon ne ki milkar kabhi hum na honge juda
Ye raatein, ye mausam, nadi ka kinara, ye chanchal hawa

Comments

2 Responses to “ Yeh Raaten Yeh Mausam Nadi Ka Kinara ”

Leave a Reply

You must be to post a comment.